Dosto vese to luxembourg desh work permit bhi deta hai par vo jyadatar skilled logo ko hi work visa deta hai jese doctor, cook, teacher etc vo lebour ke liye europe se worker hire krta hai par fir bhi aap unki website pe jake aap apne mutabik requirements dekh skte ho jiska link ye hai 👉 https://www.jobsinluxembourg.eu/
Agar isme aap ke like koyi job hai aur aap apply krna chahte ho to sabse pehle aap ko apna resume inke format mein banvana hoga aur ek cover letter banana hoga uske baad aap job apply kar skte ho 80 euro fees deni pdegi aur biometrics ke liye dates dekhni hongi vese abhi dates mil rhi hain. Work permit ka process lamba hai 4 se 5 mahine lag jate hain
Agar aap tourist visa lekar jaye aur waha pe usko work permit mein convert krva le. Tourist visa ke liye apke pas passport hona chahiye bank account mein kam se kam 4 se 5 lakh ka balance hona chahiye aur valid income proof hona chahiye jese ke apke account ke salary aa rhi hai ya apka khud ka business hai aur pichle 2 saal ki RTI aur aadhaar card hona chahiye 80 % visible face vali foto honi chahiye Wha ke hotal ki booking confirmation honi chahiye traval plan hona chahiye etc documents agar aap ke pas hai to aap apply kr skte ho is link se 👉 https://visa.vfsglobal.com/ind/en/lux/apply-visa
15 working days Mein apko result mil jayga after biometrics visa 6 mahine ka hoga jisme aap sirf 90 din lagatar ruk skte ho aur ha ye shenegan country hai iska visa leke aap 28 contries mein ghoom skte ho jese ke Switzerland, Germany, Portugal, France, Belgium, Italy, Denmark, Malta, Croatia, Spain, Poland, Norway, Sweden, Greece, Finland, Netherlands, Iceland, Slovakia, Czech Republic, Austria, Hungary, Lithuania, Latvia, salovinia, Bulgaria etc
#Luxembourg #Europe #Schengenvisa #europevisa #jobsineurope #jobsinluxambourg #touristvisa #luxambourgvisitervisa
0 Comments
Thanks for comments